Haa, JEE Main 2026 me agar aap Hindi language choose karte hai, to exam me aapko bilingual question paper milega, matlab ki Hindi ke saath-saath English me bhi har question likha hoga. Question paper me dono languages diye hote hai, taaki aap apni suvidha ke hisaab se kisi bhi language me padkar answer de sakte hai. Iska matlab hai ki Hindi medium choose karne par bhi aapko English version ke questions milte hai, alag se English select karne ki zarurat nahi hoti.