M.sc physics me admission kase le
Hey,
M.Sc. Physics me admission lene ke liye sabse pehle aapko B.Sc. Physics ya B.Sc. (PCM) stream se 50-60% marks se graduation karni hogi. Uske baad admission hoga. Admission do tarah se hota hai — entrance exam ya merit basis.
Agar aap DU, JNU, BHU, IITs, NITs, me admission chahte hai, toh aapko CUET-PG, JAM (Joint Admission Test for M.Sc.), ya university-specific entrance exams dene hoga.
In exams me mainly Physics ke core topics jaise Mechanics, Electromagnetism, Quantum Physics, Thermodynamics, aur Mathematical Physics se questions aate hai.
Private universities me kahi-kahi direct admission bhi mil jata hai agar aapke graduation me ache marks hai. Admission ke baad aap specialization choose kar sakte hai jaise Astrophysics, Nuclear Physics, Condensed Matter Physics, etc.
https://www.careers360.com/courses/msc-physics
Aur course ke baare me aur jaane ke liye aap le link check kar sakte.




